
rakhta hon muskaan chehry per
Rakhta hun muskan chehre pe, par sochun toh kho jaata hun.
Har roz sab kuch sehta hun or mann hi Mann main kehta hun.
Na is bassti ka banda hun na uss bassti main rehta hun.
Janay kiun main sehta hun or har raat Chupke rotta hun.
Yahan kisko hai maaloom ke kaise tanha tanha chalta hun.
Har raat in jaagi ankhon ko main kaise neend sulaata hun.
Jab yaad ati hai apnon ki toh kaise ashq bahaata hun
Phir har subha ujaaley main muskaan sajaye phirta hun.
Na rone ko koi kandha hai, na mujhse ye koi kehta hai.
Ke kia khoya hai aisa k main yun andarr se toota hun.
Rakhta hun muskaan chehre pe, par Sochun toh kho jata hun
Poetry by : Moattar Khatri