
Mera ilam to mukhtasar hi raha
Mera ilam to mukhtasar hi raha,
Shaayad ustaad ki taalim maazor rahi hogi,
Qatl ka anjaam siyaasat ka takht hoga,
Ye baat unhe kisi ne batlaayi nahi hogi,
Main heraan hoon dekh kar aarzo e insaan,
Falaq ke saahil pe iski udaan bhi kisi shaheen ko kuchalne ki hogi,
Mera ilm to mukhtasar hi raha,
Shaayad ustaad ki taalim maazor rahi hogi.
Main chala tha watan me karne noor ki talaash,
Wo aazad parinda ki fauj, na jaane kyun udd gayi,
Kahin door nazar aate hain sachhai ke baadal,
Zubaanon ne zaroor hawaaon se bagaawat ki hogi,
Haq ab taalab ki maanind such raha hoga,
Kisi rehnooma ki maut khauf se zaroor hui hogi,
Mera ilm to mukhtasar hi raha,
Shaayad ustaad ki taalim maazor rahi hogi.
Aapne sikhlaayi kyon nahi,
Aazadi dafnaane ki aazad koshish,
Behtar hai maine rakhi hi nahi,
Watan se mohabbat ikhtiyar karne ki ravish,
Warna kisi bheed ka hissa main bhi ho jaata,
Aapka sir kalam hota dekha hai maine,
Zubaan se zaroor kisi ki pardaafaashi ki hogi,
Mera ilam to mukhtasar hi raha,
Shaayad ustaad ki taalim maazor rahi hogi.
Poet : Muzammil Padiyar