
itny shikwy le kar itny dukh sameet kar
Itney shikwey leker; itney dukh samaint ker;
Uthte ho her din; sotey ho her raat;
Itni takleefo k baad; bhi zinda ho tum;
Manlo ah insan; kuch to hai tum mai baat;
Mushkil hai koi dhondho; ho na jiski kahani;
Baat itni si hai; suni nahi tumney uski zabani;
Karkey mazboot dil; sub ko ek bar hai batani;
Rokleti hai bus ye hamari; nayi naveli jawani;
Phir rahey hain log; leker dilo mai betabi;
Hojaye ziker us bat ka; ki jis ne hai barbadi;
Lag jata hai ilzam; is ne to hai ye baat banadi;
Kesa hai ye zulm; k apni he baat dabadi;
Kon dega aker phir; is na cheez ki gawahi;
Log to therey aise; sach k sath ki jisne behayi;
Ab kehtey hain sub; bat hai tumney ye banai;
Chordo ab tum zid; her taraf hai bus bewafai;
Poetry by: Farhan Ali
Wow very nice..jni Tum na bataya nhe kbhe as ka bare ma achak surprisee