
gar baazi ishq ki baazi he jo chaho laga do dar kesa
Kab Yaad Mein Tera Saath Nahin, Kab Haat Mein Tera Haat Nahin
Sad-Shukr Ki Apni Raaton Mein, Ab Hijr Ki Koi Raat Nahi
Mushkil Hain Agar Halat Wahan Dil Bech Aa’ein Jaan De Aa’einĀ
Dil Walo Kocha-e-janan Mein Kya Aise Bhi Halat Nahi
Jis Dhaj Se Koi Maqtal Mein Gaya Wo Shaan Salamat Rehti haiĀ
Ye Jaan To Aani Jaani Hai Is Jaan Ki To Koi Baat Nahi
Maidan-e-Wafa Darbar Nahi Yaan Nam-o-Nasab Ki Pooch Kahan
Ashiq To Kisi Ka Naam Nahin Kuch Ishq Kisi Ki Zaat Nahi
Gar Baazi Ishq Ki Baazi He Jo Chaho Laga Do Dar Kaisa
Gar Jeet Gaye To Kya Kehna Haare Bhi To Baazi Maat Nahi
Poetry By : Faiz Ahmed Faiz